Saturday

// // Leave a Comment

Hack Forum Through MySql

Pehle kisi hosting site se domain len. Like byethost.com aur ek Mysql
database bhi create karen.

Phir filecrop.com se vbulletin script download karen aur extract
karen. Bohot saare folders honge.

Phir us mein upload folder mein jaen. Phir includes k folder mein
config.php.new file ko search karen aur us ka naam change kar k
config.php rakh den.

Phir config.php ko wordpad par open karen aur database name find
karen. Wahan har cheez by default hogi. Database ki jagah jo aapne
Mysql database create kya hoga wo copy kar k paste kar den. Phir
username ki jagah jahan root likha hoga wahan apni site ka username
aur neechy password likhen jo aapne apni site ko banate waqt diya hai.
Email id bhi change kar den.
Note: Wahan par har cheez change kar k ' ' k beech mein likhni hai.
Phir save kar den.


Phir file uploading k liye filezilla download kar k install farma kar
open karen. Us mein apni site ka ftp link host mein, username aur
password dene k baad connect par click karen. Us mein phir right panel
mein apni site ka htdoc folder open karen.

Phir vbulletin k andar upload folder ki saari files ko select all kar
k filezilla k sub se last section mein drag karen aur right click kar
k Qeued Files par click karen. Wo upload hona shuru ho jayengi.

Jab files upload ho jayen to http://yoursite.com/install/install.php
open karen. Wahan par vbulletin intallation script aa jayega. Next
karte jaen aur ghor se dekhte jayen. Phir aage BB title, Email id den
aur next karen. Aur kisi cheez ko mat cherna hai. Phir aage Delete
Install/Install.php likha aayega. Apne site k htdoc folder se
install.php aur init.php naam ki file ko delete karden.
Init ya pata nahi dusri file thi. Naam yaad nahi
aa raha. Install.php k upper ya neeche hogi.
Phir here par click karen. Aage Username aur Password likh kar log in
kar den. Aap k saamne Cpanel aa jayega. And ur forum is ready to use.

0 comments:

Post a Comment

Earn 25$ Instant